Friday, July 20, 2012

ATIT KE CHALCHITR

Aaj Rajeev KA JNMDIN HAI ..,atit chalchitr ki tarah aankhon ke aage nach uthha....Golakpur , Patna ka vo ghar, bada sa kala gate, neem ka ped apni tahniyon ki bahen failaye sabon ke swagt ke liye utaawla..usi ghar me pahle pahle tumhare geeton ko suna tha maine, pahla gana ' mn ki veen matwari baje..' mere harmonium pr tumhari ungaliyan khel rahi thi, ,' ghar ke kisi agyat kone me tumhare swaron ko aatm saqt karti akeli chupchap.....
dusra gana --'PYAR PR BAS TO NHI HAI MERA LEKIN FIR BHI TU BATA DE KI TUJHE PYAR KARUN YA N KARUN....' swaron ke aaroh awroh se mai sihar sihar uthhi thi..kya tum mujh se puchh rahe ho...pr mai to ..mere pas jabab tha..HAN HAN.....kintu muk rahi hm chup rah kr bhi jaise kabhi kuchh nahi kah pate, kabhi bahut kuchh kah jate hain..prrrrrrr
tisra gana--TUJHE KYA SUNAUN AI DILRUBA TERE SAMNE MERA HAL HAI, TERI EK NAZAR KI BAAT HAI, MERI ZINDAGI KA SAWAL HAI.... is katr swar lahri pe mai vikal ho uthhi, bs hawaon ko maine kaha ..ja unki bechainiyon ko shant kr de, mai unhi ki hun, pas rahun ya dur rahun ...fir unhone gaya --TU PYAR KA SAGR HAI TERE EK BOOND KE PYASE HM, LOUTA JO DIYA TUNE CHALE ZAYENGE JAHAN SE HM ...meri aankhen sagr bnti rahi ..14-15 sal ki ladki, dharm-bhiru, samaj-bhiru...... hm kabhi bhi mile nhi kintu tumhara swar meri bhawnayen..milti rahi...ek rishte me bandhne ki baten ghar me hone lgi; kintu fir achank tumhara gana --- AANSOO BHARI HAI YE JIVAN KI RAHEN ,KOI UNSE KAH DE HME BHUL JAYE..mai tadap uthhi ye kya ho gaya...MAINE CHAND AUR SITARON KI TAMANNA KI THI/ MUJHKO RATON KI SIYAHI KE SIWA KUCHH NA MILA--' ye kya ho gaya , kisse puchhun akhir , fir tumhara --BICHHUD KAR CHALE JAYEN TUM SE KAHIN , TO YE NA SAMJHNA MUHABBAT NHI, TUMHARE LIYE HAIN , TUMHARE RAHENGE..' mera mn samundar me tha vedna ki bahon me lipta sipta...
Aaj hamare prem ka pratham pushp RAJU ka jnmdin hai, jiske dharn ke samay tumne mujhe Vivekanand, Ramkrishn paramhans, Subhash chandra basu, DR.Rajendra pd , PT. Jawahar lal Nehru ( jinke nati ke nam pr hmne raju ka nam Rajiv rakha tha.)..etc etc..kitne mahapurushon ki baten sunate the, unki tasweer lagaye the---- chitr aa rahe ja rahe..
aaj Raju mujhse lipta hai tasweer me , mujhe kuchh nhi dikhayi de raha siwa apne hathon me chudiyon ke, mathe pe chamkti sindur ki lalrekha ki....mai kya se kya ho gayi pathar pathar...

No comments:

Post a Comment